Wednesday, July 21, 2010
Me aur meri Tanhayee…….
Kartey he raaz ki baat me aur meri tanhai,
Din to guzar hi jata hai logon ki bheed me,
Karti he basar raat me meri tanhai,
Saanson ka kya bharosa kab chor jaye saath,
Lekin rahe gai saath me aur meri tanhai,
Aaye na tumhe yaad kabhi bhul kar bhi hum,
Kartey hain tumhe yaad me aur meri tanhai,
Aa ke paas kyon door ho gaye hum se,
Kartey he teri talash me aur meri tanhai,
Tum ko rakh gaye saath zeenat bana ke ghar ki,
Reh jaye phir na tanha me aur meri tanhai,
Yaadein...
aag judai ki dil ko jalati rahi,
aandhiyan jab gujarti rahi baagh se,
Shakh-e-gul apne sir ko jukati rahi,
apni mohabbat ki nakamiyaan kya kahoo,
khwaish-e-ishq har kadam pe hame rulati rahi,
vo dusro se has has kar milte rahe,
meri he badkismati ashk bahete rahe,
hum wafa jinse karte rahe umra bhar,
humpe unki zafa muskurati rahi,
shayad kusur meri mahobbat ka hi he,
jo sab seh kar bhi unhe chahti rahi.
Dastan-E-Wafa…
jisko chaha use pa na sake..
bas u smjh lo ki dil todne k khel me..
kisi ka toda or apna bcha na sake…..!!!
Bahut chaha usko jise hum pa na sake,
Khayalo me kisi or ko le na sake,
Usko dekh ke aansoo to ponch liye,
Lekin kisi or ko dekh ke muskura na sake….!!!
Woh Keh Gaye Ki Mera Intezaar Mat Karna,
Main Kahu Bhi To Muj Pe Aitbaar Mat Karna,
Wo Kehte hai Ke Mujhe Tumse Mohabaat Nahi,
Par Tum Kisi Aur Se Pyaar Mat Karna…..!!!
Mana ki ham bhula nahi paate unhe ek pal ke liye,
par yu roya bhi nahi jaata ek pal ke liye,
mila jo yu wo milkar bichhad gaya zindgi ke liye,
unhe dil se nahi lagaya jaata dillagi ke liye…..!!
Mana ki ye baat har kisi ko lagti hai sacchi,
par har ajnabi nahi hote jamane mein bhulane ke liye,
yu to khuda se jo maanga wo paya dua mein,
par har dua kahan kabul hoti hai har kisi ke liye…..!!!
wo aayega na lautkar fir kabhi ye jaante hain,
fir bhi dil dhadkta hai aaj bhi usi ajnabi ke liye…..!!!
Aisa lagta hai zindagi tum ho ajnabee kaise,
ajnabee tum hoab koi aarzoo nahin baakee justjoo meri aakhri tum ho…..!!!
“WAQT NAHI”
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi,
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi,
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.
Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi,
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi,
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi
Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi……..
Shairy of mine....
Jane kyu aaj dil udas hain,
Bhari he mehfil phir bhi tanhayee hain,
Baithe he kisi ke intezaar me ke koi aakar kahe,
Aap ke bina to zindgi viran hain.
Na unhe hamari yaad aayi na hum unhe bhula pay,
Na usne hume apnaya na hum unhe thukra sake,
Bus dosti or chahat ki is kashmakas me,
Hum unke dost or wo is dost ki JAAN bante gaye.
Unki haseen ne hame pagal bana diya,
Unki batone hame diwana bana diya,
Hum to sirf uski dosti pana chahte the,
Magar unke izhar ne hame Aawara bana diya.
Pyar vo hume bepanah karte gaye,
Hum bhi unpe dil or jaan lutate chale gaye,
Kya khel khela kismet ne hamare sath,
Vo dhire dhire bekasur or hum bewafa bante gaye.
Unke khwab hamari chahat bante gaye,
Unke sapne hamare ehsas bante gaye,
Jab hume pata chala ke hum do jism ek jaan bante gaye,
Tab unhone kaha ke vo to kisi or ke ho gaye.
Humne unke sath hare k khwab saja diya,
Humne unki chahat ko sine se laga diya,
Jab ehsas hua ki vo hamari jindgi ban gaye,
Tab unhone hume bewafai ka ilzam de diya.
Hume aaj bhi vo shaam yaad hain,
Hume aaj bhi vo mulaqat yaad hain,
Kaise bhul payenge us pal ko,
Jo hamari jindgi ka sabse haseen pal hain.
Kisiki aankho me apne sapne mat sajana,
Kisiki jindgi me apni jyada jaga mat banana,
Hoti he taklif jindgi me sabse jyada,
Jab muskil ho jaye unhe dil se bhulana.
Dil ki vyatha Kisi se kahi Na jaye,
Man ki bat Kisi se chupai Na jaye,
E khuda ek ehsan likh do meri kismet me,
VO ake kehde k ab tumhare bina jiya Na jaye.
Tere bina jindgi me andhera he, tere sath ujala he,
Tere bina tanhai he, tere sath mehfil he,
Jindgi k Safar me mera sath kabhi na chodna, kyuki
Tere bina maut he or tere sath hi to jindgi he.
Na hi vo ikrar karte the, Na hi vo inkar karte the,
Na hi vo khafa hote the, Na hi vo ruswah hote the,
Na Jane kon si bat thi uske dil me,
Shayad vo mere pyar ki gaherai jan na chahte the
Na Jane hum ye kya kar Gaye,
Bina pu6e hi apke ho Gaye,
Dil udas huva apka or,
Ashk hamari aankho se behte Gaye.
Pal phar me naraj ho jate he, Pal bhar me man bhi jate he,
Pal bhar me rula bhi dete he, Pal bhar me hasa bhi dete he,
Pal pal hume yad bhi karte he, pal bhar me bhula bhi dete he,
Na jane kyu vo hame is tarah pareshan karte he?
Dil ki udasi sahi na jaye,
Man ki bat kisise kahi na jaye,
Chup-chup ke rote rahe rato me,
apne aap se bhi ansu chupaya na jaye.
Pas he fir bhi milo ki duri he,
Dil me he magar na jane kitni duri he,
na hasa jaye na hi roya jaye,
ab usi ke hatho me hamari DORI he.
Pyar vo bepanah karte he hame magar jatana nahi jante,
juthi nafrat karne ki koshish karte he magar juth bol bhi nahi pate,
use bhi milne ki he betabi meri tarah utni,
na jane kyu phir bhi lab tak mulakat ki bat nahi late.